Ham khak hai aur khak hi mawa hai hamara | हम ख़ाक हैं और ख़ाक ही मावा है हमारा । ہم خاک ہیں اور خاک ہی ماوا ہے ہمارا

Ham khak hai aur khak hi mawa hai hamara | naat lyrics | owais qadri naat | Aala kalam

 Ham khak hai aur khak hi ma’wa hai hamara 

Khaki to wo aadam zade aa’la hai hamara


Allah hame khak kare apni talab mein 

Ye khak to Sarkar se tamgha hai hamara


Jis khak pe rakhte the qadam Sayyade Alam

Us khak pe qurban dile shaida hai hamara


Kham ho gayi pushte falak is ta’ane zamin se

Sun ham pe Madina hai wo rutba hai hamara


Usne laqbe khak shahanshah se paya

Jo Haidare karrar ki maula hai hamara



Aye Muddayiyo tum khak ko khak na samjhe

Is khak me madfoon Shahe batha hai hamara


Hai khak se tamir mazare shahe kounen 

Ma’amur isi khak se qibla hai hamara 


Ham khak uraenge jo wo khak na paee 

Aabad Raza jis pe Madina hai hamara

Post a Comment

0 Comments