Utha do parda dikha do chehra ki noore bari hijab me hai - उठा दो पर्दा दिखा दो चेहरा कि नूरे बारी हिजाब में है - kalame aalahazrat


Utha do parda dikha do chehra ki noore bari hijab me hai

 Utha do parda dikha do chehra ki noore bari hijab me hai - kalame Aalahazrat


Utha do parda dikha do chehra ki noore bari hijab me hai


Zamana tarik ho raha hai ki mehar kab se niqab me hai 


Nahi wo mithi nigah wala khuda ki rahmat hai jalwa farma 

Gajab se unke khuda bachaye Jalale Bari Etaab me hai 

Jali Jali bu se uski paida hai sozishe ishqe chashme wala 

Kababe Aahoo me bhi na paya Maza jo Dil ke kabaab me hai 

Khade hai Munkir Nakeer sar par na koi Haami na koi yawar 

Bata do aa kar mere Payamber ki sakht mushkil jawab me hai 

Khuda-e Qah-har hai gajab par khule hai Badkari-yo ke daftar 

Bacha lo aa kar Shafee-e mah-shar tumhara Banda Azab me hai 

Kareem apne karam ka sadqa Lae-eme be qadr ko na shar-ma

Tu Aur Raza se hisaab lena Raza bhi koi hisaab me hai
 Utha do parda dikha do chehra ki noore bari hijab me hai - kalame Aalahazrat


Post a Comment

0 Comments